Ret par likh k mera nam mitaya na karo


ret par likh k mera nam mitaya na karo
ankhen sach bolti hain pyar chupaya na karo 
log har bat ka afsana bana lete hain 
sab ko halat ki rudad sunaya na karo 
ye zaruri nahin har shakhs masiha hi ho 
pyar k zaKhm amanat hain dikhaya na karo 
shahar-e-ehsas main patthar bahut hain �Mohsin� 
dil ko shishe ke jharonkhon main sajaya na karo

Comments